Khoob leheraye jhanda apna,
Hum sabke arman liye,
Dikhe usme har ek ka sapna,
Saikadon ki aastha jiye.
Rakhe sir hamara ooncha,
Jhuke na kisi avastha mein,
Gaurav prateek, khoon se seencha,
Anginat desh vaasiyon ne.
Dahaad mein uske Omkar hai,
Desh navjaat ki hahakaar,
Vishwa bhar mein fail chuki hai,
Maha Bharat ki garima paar.
Sadhu-sant ki vani isme,
Gurbani ke madhur vichar,
Isaai aur Islami jisme,
Gita ka hai param saar.
Tirange mein har rang jhalakta,
Har sugandh ki hai aabhaas,
Karodon ka hai dil dhadakta,
Anek sabhyata ek vishwas.